Kaho, mujhse mohabbat hai ...
Mohabbat ki tabiyyat mein Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai
Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye
Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai
Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho
Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho
Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho
Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai
Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki
Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye Aur shab mein baarha uthe
Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai
Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai
Ke ye iqrar ke lafzon ko sun'ne se nahi thakti
Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa'at ho
Ise bus aik hi dhun hai Kaho, mujhse mohabbat hai
Tumhein, mujh se mohabbat hai Kaho, mujhse mohabbat hai.
Koi to hota?
Main jis kay dil ki kitab banta
Main jis ki chahat ka khawab banta
Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?
Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota
Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota
Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota
Koi to hota?
Jo mujh ko dil ka karar kehta
Ragoo ka apni fishar kehta
Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar
Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta
Koi to hota?
Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta
Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta
Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay
Koi to hota?
Main jis kay itna qareeb hota
Na paas koi raqeeb hota
Main tanha uss ka habbib hota
Yeh silsila bhi ajeeb hota
Koi to hota?
KÄħH Koi to hota?
No comments:
Post a Comment