Thursday, May 1, 2008

VOICE OF MY HEART


BAN KE DHADKAN, DIL ME CHALI AATI HO;

BAN KE KHUSBOO, SAANSO ME CHALI AATI HO;

BAN KE PANI, AAKHON ME CHALI AATI HO;

BAN KE GHAZAL, ZUBA PE CHALI AATI HO;

BAN KE SANGEET, KAANO ME CHALI AATI HO;

BAN KE SURAJ, DIN ME CHALI AATI HO;

BAN KE CHAND, RAAT ME CHALI AATI HO;

BAN KE HAWA, FIZAO ME CHALI AATI HO;

BAN KE KISMAT, LAKIRO ME CHALI AATI HO;

BAN KE ZINDAGI, ROOH ME CHALI AATI HO;

BAN KE NASHA, JAAM ME CHALI AATI HO;

BAN KE TABASSUM, HOTO PE CHALI AATI HO;

BAN KE RANG, TASWEERO ME CHALI AATI HO;

BAN KE MANZIL, RAAHO ME CHALI AATI HO;

WOH TUM HI HO.......... ....;

BAN KE SAATHI, MERE SAATH CHALI AATI HO

***

Apni madhosh nigahon se sawera karna
Isi veeran shabistan mein ujala karna
Tergi rehti hai teri shab-o-roz yahan
Tum ksis roz yahan aker basera karna
Woh tou phoolon se bhi nazuk hai buhat der talak
Jab bhi dekho tou nazer uski utara karna
Apni zulfon mein chupalon mujhko buhat udaas hoon mein
Roshni Chubhti hai ankhon mein adhera karna
Yoon tou har din teri khushboo se jawan rehta hai
Ankh lag jaye tou khuwabon mein bhi aya karna
Woh kisi roz idher se bhi guzer sakti hai
Tum na ik pal bhi nazer apni hataya karna
Tumne baadal ki tarhan dhoop chupani hai Nafees
har aik sham use chaand dikhaya karna

***

Waqt ki dhund main yeh pyar bhi chup jaye ga

dil ko behla ke teri yaad se thak jaoun ga

tu bhi gher apne chali jaye gi dulhan ban ke

main bhi ro dho ke kisi kam pe lag jaoun ga

phir humen koi bhi shikwa na shikayat hogi

aur ager hogi bhi to kya is ki haqeqat hogi

umer dhal jaye gi halat badal jayen ge

waqt ke sath yeh din raat badal jayen ge.

No comments:

Followers