Tuesday, July 22, 2008

THE STORY OF A KING

Once there was a king who was always fighting. One day he was badly wounded in a battle. A sage passed by and touched him, and the king was cured. He wanted to give the sage a reward for saving him, but the sage didn't want anything.

The king said, "I don't want to be indebted to you."
The sage said, "In the future I'll ask for something. I don't need anything now, but one day I'll come."

Months passed and the sage was praying to God one day for peace, light and bliss, when a desire entered his mind. For the past few months his cow had not been producing milk. "She's old," he said. "I'll ask the king for a new cow."

He went to see the king and found him in a temple. He was praying for more wealth and more fame. The sage said to himself, "I won't ask him for a cow. He's a beggar like me." And he turned to leave.

The king stopped him and said, "Sage, you saved my life. Please tell me what you want. I'll give you anything."

Saturday, May 24, 2008

Jazbat

Kaho, mujhse mohabbat hai ...

Mohabbat ki tabiyyat mein Ye kaisa bachpana kudrat ne rakha hai

Ke ye jitni purani jitni bhi mazboot ho jaye

Ise taeed-e-taaza ki zarorat phir bhi rehti hai

Yaqeen ki aakhri hadon tak dilon mein lehlahati ho

Nigahon se tapakti ho,lahu mein jagmagati ho

Hazaron tarah ke dilkash, haseen haale banati ho

Ise izhaar ke lafzon ki hajat phir bhi rehti hai

Mohabbat maangti hai yun gawahi apne hone ki

Ke jaise,tafl sada shaam ko ik beej boye Aur shab mein baarha uthe

Zameen ko khod kar dekhe ke poda ab kahan tak hai

Mohabbat ki tabiyyat mein ajab takrar ki khu hai

Ke ye iqrar ke lafzon ko sun'ne se nahi thakti

Bicharne ki ghari ho ya koi milne ki sa'at ho

Ise bus aik hi dhun hai Kaho, mujhse mohabbat hai

Tumhein, mujh se mohabbat hai Kaho, mujhse mohabbat hai.

Koi to hota?

Main jis kay dil ki kitab banta

Main jis ki chahat ka khawab banta

Main hijar mosam ki lambi raaton main yaad Ban kar azaab banta
Koi to hota?

Jo meri khwaish main uth kar raaton ko khoob rota

Dukhon ki chadar lapait kar hajoom duniya say door hota

Main rooth jaata manata mujh ko kay chahe mera kasoor hota

Koi to hota?

Jo mujh ko dil ka karar kehta

Ragoo ka apni fishar kehta

Udaas mosam main tazgi ki biyar ban kar

Jo meri bahoon ko arzoo ka diyar kehta

Koi to hota?

Dua say apni jo dukh bhi meray samait leta

Woh iss jahan say ghamon ka meray hisab leta

Woh sari duniya ki rafaqaton kay tamam rishtay

Koi to hota?

Main jis kay itna qareeb hota

Na paas koi raqeeb hota

Main tanha uss ka habbib hota

Yeh silsila bhi ajeeb hota

Koi to hota?

KÄħH Koi to hota?

Friday, May 2, 2008

SHAADI

Shaadi ka pehla Saal

  • Abhi shaadi ka pehla hi saal tha,
  • Khushi ke maare mera bura haal tha,
  • Khushiyaan kuchh yun umad rahin thi,
  • Ki sambhale nahi sambhal rahi thi ..
  • Subah subah madam ka chai Le kar aana
  • Thoda sharmate huye humein neend se jagana,
  • Wo pyaar bhara hath hamare baalon mein phirana,
  • Muskurate huye kehna ki..
  • Darling chai to pi lo, Jaldi se ready ho jao, Aap ko office bhi hai jaana.
  • Gharwali bhagwan ka roop Le kar aayee thi,
  • Dil aur dimag par poori tarah chhayee thi,
  • Saans bhi lete they to naam usee ka hota tha,
  • I pal bhi door jeena dushwar hota tha..

******

5 saal baad……..

  • Subah subah madam ka chai Le kar aana,
  • Table par rakh kar jor se chillana, Aaj office jao to munna ko School chodte hue jana…
  • Suno ek baar phir wohi awaaj aayi, Kya baat hai abhi tak chhodi nahi charpayee,
  • Agar munna late ho gaya to dekh Lena, Munna ki teachers ko phir khud hi sambhaal Lena..
  • Na Jane gharwali kaisa roop Le kar aayi thi, Dil aur dimaag par kaali ghata chhayee thi,
  • Saans bhi lete hain to unhi ka khayal hota hai, Ab har samay jehan mein ek hi sawal hota hai..
  • Kya kabhi who din laut ke aayenge, Hum ek baar phir kunwaare Ho jaayenge…. …!

******

Shaadi se pahle aur shaadi ke baad in movie style:

  • Shaadi ke pehle - Agar Tum Na Hote
  • Shaadi ke baad - Agar Tum Na Hote
  • Shaadi ke pehle - Maine Pyar Kiya
  • Shaadi ke baad - Ye Maine Kya Kiya?
  • Shaadi ke pehle - Kuch Kuch Hota Hai
  • Shaadi ke baad - Kuch Nahi Hota Hai
  • Shaadi ke pehle - Dil To Pagal Hai
  • Shaadi ke baad - Dil To Pagal Tha
  • Shaadi ke pehle - Ek Duje Ke Liye
  • Shaadi ke baad - Sirf Bachcho Ke Liye

Followers